aġhyār  chhoḌ  mujh  señ  agar  yaar  hovegā
shāyad  ki  yaar  mahram-e-asrār  hovegā
būjhegā  qadr  mujh  dil-e-āshufta-hāl  kī
phāñde  meñ  zulf  ke  jo  giraftār  hovegā
be-fikr  maiñ  nahīñ  ki  sanam  mast-e-ḳhvāb  hai
kyā  kyā  balā  karegā  jo  bedār  hovegā
pinhāñ  rakhā  huuñ  dard  kuuñ  lohū  kī  ghūñT  pī
kahtā  nahīñ  kisī  señ  ki  iz.hār  hovegā
bazm-e-junūñ  meñ  sāġhar-e-vahshat  piyā  jo  kui
ġhaflat  señ  aql-o-hosh  kī  hushiyār  hovegā
terī  bhañvoñ  kī  teġh  ke  paanī  kuuñ  dekh  dil
aTkā  hai  is  sabab  ki  nadī  paar  hovegā
rañgīñ  na  kar  tuuñ  dil  kā  mahal  naqsh-e-aish  señ
ġham  ke  tabar  señ  maar  ki  mismār  hovegā
barjā  hai  yaar  mujh  pe  agar  mehrbān  hai
bulbul  pe  gul  baġhair  kise  pyaar  hovegā
jaatā  nahīñ  hai  yaar  kī  shamshīr  kā  ḳhayāl
ma.alūm  yuuñ  huā  ki  gale  haar  hovegā
inkār  mujh  kuuñ  niiñ  hai  tirī  bandagī  satī
yaañ  kyā  hai  balki  hashr  meñ  iqrār  hovegā
mujh  paas  phir  kar  aave  agar  vo  kitāb-rū
maktab  meñ  dil  ke  dars  kā  takrār  hovegā
sehn-e-chaman  meñ  dekh  tere  qad  kī  rāstī
har  sard  tujh  salām  kuuñ  ḳhamdār  hovegā
us  chashm-e-nīm-ḳhvāb  kī  dekhe  agar  bahār
nargis  chaman  meñ  taḳhta-e-dīvār  hovegā
us  zulf-e-ambarīñ  señ  jo  yak  taar  jhaḌ  paḌe
har  ḳhūb-rū  kuuñ  turra-e-dastār  hovegā
ai  jaan  mere  paas  señ  yak-dam  judā  na  ho
jiinā  tire  firāq  meñ  dushvār  hovegā
rakhtā  hai  garche  aa.ina  faulād  kā  jigar
tīr-e-nigah  ke  sāmne  lāchār  hovegā
mat  ho  shab-e-firāq  meñ  be-tāb  ai  'sirāj'
ummīd  hai  ki  sub.h  kuuñ  dīdār  hovegā