agar  kuchh  hosh  ham  rakhte  to  mastāne  hue  hote
pahuñchte  jā  lab-e-sāqī  kuuñ  paimāne  hue  hote
abas  in  shahriyoñ  meñ  vaqt  apnā  ham  kiye  zaa.e
kisī  majnūñ  kī  sohbat  baiTh  dīvāne  hue  hote
na  rakhtā  maiñ  yahāñ  gar  ulfat-e-lailā  nigāhoñ  kuuñ
to  majnūñ  kī  tarah  aalam  meñ  afsāne  hue  hote
agar  ham  āshnā  hote  tirī  begāna-ḳhūī  siiñ
barā-e-maslahat  zāhir  meñ  begāne  hue  hote
zi-bas  kāfir-adāyoñ  ne  chalā.e  sañg-e-be-rahmī
agar  sab  jam.a  kartā  maiñ  to  but-ḳhāne  hue  hote
na  kartā  zabt  agar  maiñ  girya-e-be-iḳhtiyārī  kuuñ
guzartā  jis  taraf  ye  puur  vīrāne  hue  hote
nazar  chashm-e-ḳharīdārī  siiñ  kartā  dilbar-e-nādāñ
agar  qatre  mire  aañsū  ke  durdāne  hue  hote
mohabbat  ke  nashe  meñ  ḳhaas  insāñ  vāste  varna
farishte  ye  sharābeñ  pī  ki  mastāne  hue  hote
evaz  apne  garebāñ  ke  kisī  kī  zulf  haat  aatī
hamāre  haat  ke  panje  magar  shāne  hue  hote
tirī  shamshīr-e-abrū  siiñ  hue  sanmukh  va  illā  na
ajal  kī  teġh  siiñ  jyuuñ  aarā  dandāne  hue  hote
maza  jo  āshiqī  meñ  hai  so  māshūqī  meñ  hargiz  niiñ
'sirāj'  ab  ho  chuke  afsos  parvāne  hue  hote