Murtaza Barlas

umr bhar aankhon ka darwaza khula rahna hi tha

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934

umr bhar āñkhoñ darvāza khulā rahnā thā

kab palaT aa.e koī dhaḌkā lagā rahnā thā

jab ḳhulūs-e-dil na shāmil ho to phir kaisā milāp

saath uThte baiThte bhī mas.ala rahnā thā

chāhe ham koī jatan karte magar honā thā kyā

be-sabab thā jo ḳhafā us ko ḳhafā rahnā thā

ḳhāmushī se bhī mire dil meñ kasak rahnī thī

aur kah kar bhī bahut kuchh bin kahā rahnā thā

apnā rasta chhoḌ ke jo chal paḌā auroñ ke saath

vo agar rasta bhaTaktā rah gayā rahnā thā

rañg bhī āḳhir utarne meñ to kuchh letā hai vaqt

husn āḳhir husn thā jis nasha rahnā thā

kuchh nahīñ to kyuuñ nahīñ kuchh bhī binā-e-iḳhtilāf

is liye bhī us ko ham se kuchh gila rahnā thā

pāsdārī jab qabīle ke rivājoñ na

phir to zāhir hai qabīle se judā rahnā thā

Top Urdushayar.com