kyā  balā  sehr  haiñ  sajan  ke  nayan
hai  ḳhajil  jis  añge  hiran  ke  nayan
mujh  pe  karte  haiñ  yaar  kā  jaadū
us  sitamgār-e-sehr-e-fan  ke  nayan
gardish-e-mai  suuñ  aaj  fāriġh  hai
jin  ne  dekhe  haiñ  ḳhush-nayan  ke  nayan
aarzū  meñ  tirī  ai  nūr-e-nazar
muntazir  huuñ  khule  haiñ  man  ke  nayan
shor  Daale  haiñ  saare  aalam  meñ
dilbar-e-shakkarīñ-suḳhan  ke  nayan
gul-e-nargis  agar  nahīñ  dekhā
dekh  yakbār  gul-badan  ke  nayan
kyuuñ  na  hue  hijr  be-ḳhabar  suuñ  'sirāj'
hosh  khote  haiñ  man  hiran  ke  nain