tujh  par  fidā  haiñ  saare  husn-o-jamāl  vaale
kyā  saaf  gaal  vaale  kyā  ḳhatt-o-ḳhāl  vaale
mujh  rañg-zard  uupar  ġhusse  señ  laal  mat  ho
ai  sabz  shaal  vaale  uude  rumāl  vaale
tahqīq  kī  nazar  señ  āḳhir  kuuñ  ham  ne  dekhā
aksar  haiñ  maal  vaale  kam  haiñ  kamāl  vaale
saaya  kuuñ  sarv-qad  ke  DhūñDe  pa  kahīñ  na  paa.e
aalam  ke  faal  vaale  aur  kyā  nihāl  vaale
gar  harf  mere  ġham  kā  lā.ūñ  zabāñ  ke  uupar
ho  jaa.eñ  qaal  vaale  yak-dam  meñ  haal  vaale
mauzūñ  nahīñ  kiye  haiñ  tujh  qad  sā  ek  misra
jal  ga.e  ḳhayāl  vaale  mar  ga.e  misāl  vaale
gar  shab  kuuñ  sair  karne  nikle  'sirāj'  mah-rū
jāh-o-jalāl  vaale  hoeñ  misāl  vaale