thā  bahāna  mujhe  zanjīr  ke  hil  jaane  kā
chhoḌ  dev  ab  to  havā  shauq  nikal  jaane  kā
sañg-dil  ne  dil-e-nāzuk  kuuñ  mire  chuur  kiyā
kiyā  irāda  thā  use  shīsha-mahal  jaane  kā
mat  karo  sham.a  kuuñ  badnām  jalātī  vo  nahīñ
aap  siiñ  shauq  patiñgoñ  kuuñ  hai  jal  jaane  kā
āfrīñ  dil  kuuñ  mire  ḳhuub  bajā  kaam  aayā
sach  sipāhī  ko  baḌā  nañg  hai  Tal  jaane  kā
sho.ala-rū  jām-ba-kaf  bazm  meñ  aatā  hai  'sirāj'
gardan-e-sham.a  kuuñ  kyā  baak  hai  Dhal  jaane  kā