is  lab  kuuñ  kab  pasand  haiñ  rasmī  kaToriyāñ
laala  ke  phuul  kī  haiñ  jise  qahva  ḳhoriyāñ
dām-o-qafas  na  chāhiye  dil  ke  shikār  kuuñ
kartī  haiñ  band  aañkh  ke  Doroñ  kī  Doriyāñ
hai  bas  ki  daur-e-sāġhar-e-chashm-e-parī-ruḳhāñ
gir  ga.ī  haiñ  dil  ke  taaq  señ  nargis  kī  ġhoriyāñ
hañste  ho  kyuuñ  jo  tum  ne  mirā  dil  nahīñ  liye
ma.alūm  huiiñ  tumhārī  nigāhoñ  kī  choriyāñ
ab  ġham  kī  raat  sair-e-charāġhāñ  hai  ai  'sirāj'
ye  ashk  garm  tel  hai  āñkheñ  sakoriyāñ