do-rañgī  ḳhuub  na.iiñ  yak-rañg  ho  jā
sarāpā  mom  ho  yā  sañg  ho  jā
tujhe  jyuuñ  ġhuncha  gar  hai  dard  kī  bū
lahū  kā  ghūñT  pī  dil-tañg  ho  jā
kahā  kis  tarah  dil  ne  tujh  kuuñ  ai  ġham
ki  dil  kī  aarsī  par  zañg  ho  jā
yahī  aahoñ  ke  tāroñ  meñ  sadā  hai
ki  bār-e-ġham  siiñ  ḳham  jyuuñ  chañg  ho  jā
duā  hai  ai  rah-e-ġham  tūl-e-umr  kā
qadam  par  hai  to  sau  farsañg  ho  jā
gale  meñ  Daal  rusvā.ī  kī  alfī
alif  khiñch  aah  kā  be-nañg  ho  jā
birah  kī  aag  meñ  sābit-qadam  chal
'sirāj'  ab  sham.a  kā  ham-rañg  ho  jā