ishq  meñ  aa  ki  aql  kuuñ  khonāñ
bā-ḳhirad  ho  ke  be-ḳhirad  honāñ
farsh-e-maḳhmal  siiñ  mujh  kuuñ  behtar  hai
ġham  ke  kāñToñ  kī  sej  par  sonāñ
abr-e-rahmat  hai  biij  vahdat  kā
kunj-e-maḳhfī  ke  khet  meñ  bonāñ
ḳhanda-e-gul  hai  girya-e-shabnam
hai  hañsī  yaar  kī  mirā  ronāñ
ruup  darsan  dikhā  ai  sīmīñ-tan
nahīñ  to  jaatā  hai  haat  señ  sonāñ
gard-e-ġham  siiñ  jo  dil  huā  melā
apne  aañsū  ke  aab  siiñ  dhonāñ
shoḳh  jādū-adā  ne  mujh  pe  'sirāj'
gardish-e-chashm  suuñ  kiyā  Tonāñ