ġham-e-āhista-rau  yaañ  rafta  rafta
kiyā  hai  mujh  kuuñ  hairāñ  rafta  rafta
vo  sāhir  ne  adā  kā  sehr  kar  kar
liyā  mujh  siiñ  dil-o-jāñ  rafta  rafta
jigar  ushshāq  kā  dāġh-e-jafā  suuñ
huā  sehn-e-gulistāñ  rafta  rafta
kamand-e-zulf  dikhlā  kar  kiyā  hai
mire  dil  kuuñ  pareshāñ  rafta  rafta
zi-bas  us  yūsuf-e-misrī  ke  haiñ  lab
huā  dil  misl-e-kan.āñ  rafta  rafta
'sirāj'  ab  tū  na  ho  ġhamgīñ  ki  rahmāñ
karegā  mushkil  āsāñ  rafta  rafta