Hasrat Mohani

lutf ki un se iltija na karen

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951

lutf un se iltijā na kareñ

ham ne aisā kabhī kiyā na kareñ

mil rahegā jo un se milnā hai

lab ko sharminda-e-duā na kareñ

sabr mushkil hai aarzū bekār

kyā kareñ āshiqī meñ kyā na kareñ

maslak-e-ishq meñ hai fikr harām

dil ko tadbīr-āshnā na kareñ

bhuul jaa.eñ ham ko ye to na ho

log mere liye duā na kareñ

marzi-e-yār ke ḳhilāf na ho

kaun kahtā hai vo jafā na kareñ

shauq un so miT chukā 'hasrat'

kyā kareñ ham agar vafā na kareñ

Top Urdushayar.com