yaar  jab  pesh-e-nazar  hotā  hai
dil  mirā  zer-o-zabar  hotā  hai
ho  ḳhajil  baaġh  meñ  gul  aab  huā
jab  siiñ  gul-rū  kā  guzar  hotā  hai
dāġh-e-dil  kuuñ  mire  nahīñ  bahra-e-vasl
garche  har  gul  kuuñ  samar  hotā  hai
gard-e-ġham  dilbar-e-ḳhush-chashm  baġhair
surma-e-chashm-e-jigar  hotā  hai
dil  liyā  nargis-e-sāhir  ne  tirī
sach  ki  jaadū  kuuñ  asar  hotā  hai
teġh-e-abrū  siiñ  tirī  ḳhauf  nahīñ
dil  mirā  jā-e-sipar  hotā  hai
sham.a-rū  kī  shab-e-hijrāñ  meñ  'sirāj'
aag  ġham  daaġh  sharar  hotā  hai