jis  ne  tujh  husn  par  nigāh  kiyā
nūr-e-ḳhurshīd  farsh-e-rāh  kiyā
haq  ne  apne  karam  satī  muj  kuuñ
mulk-e-ḳhūbī  kā  pādshāh  kiyā
mashq-e-ġhaflat  se  tīra-bātin  ne
safha-e-zindagī  siyāh  kiyā
hauz-e-kausar  kā  tishna-lab  kab  hai
is  zanaḳhdāñ  kī  jis  ne  chaah  kiyā
kūcha-e-zulf  meñ  gayā  jab  dil
barg-e-sumbul  kuuñ  zād-e-rāh  kiyā
barq-e-ḳhirman  hai  jān-e-dushman  kā
dard  siiñ  jis  ne  ek  aah  kiyā
mat  jalā  ab  'sirāj'  kuuñ  zālim
shola-e-ġham  kuuñ  uzr-ḳhvāh  kiyā