fajar  uTh  yaar  kā  dīdār  karnāñ
shab-e-hijrāñ  kā  dukh  iz.hār  karnāñ
agar  sābit  hai  ai  dil  kufr  meñ  tuuñ
qayāmat  meñ  yahī  iqrār  karnāñ
kahā  yuuñ  khol  kar  zulfoñ  kuuñ  sayyād
kisī  vahshī  kuuñ  apnā  yaar  karnāñ
tasavvur  meñ  tire  ai  maz.har-e-rab
tamāshā-e-dar-o-dīvār  karnāñ
tujhe  saugand  apne  chāhte  kī
ki  apne  chāhte  par  pyaar  karnāñ
na  kahnāñ  ḳhuub  hai  tujh  zulf  kī  baat
abas  har  taar  kā  bistār  karnāñ
'sirāj'  ab  ishq  kī  parvāngī  hai
ki  sair-e-kūcha-o-bāzār  karnāñ