Hasrat Mohani

nazzara-e-paiham ka sila mere liye hai

Hasrat Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1875-1951

nazzāra-e-paiham silā mere liye hai

har samt vo ruḳh jalva-numā mere liye hai

us chehra-e-anvar ziyā mere liye hai

vo zulf-e-siyah tāb-e-dotā mere liye hai

zinhār agar ahl-e-havas tujh pe fidā huuñ

ye martaba-e-sadq-o-safā mere liye hai

ban kar maiñ razākār muhayyā-e-fanā huuñ

āvāza-e-haq bāñg-e-darā mere liye hai

ḳhush-nūdi-e-fujjār ke pairav haiñ yazīdī

taqlīd-e-shah-e-karb-o-balā mere liye hai

mahrūm huuñ majbūr huuñ be-tāb-o-tavāñ huuñ

maḳhsūs tire ġham mazā mere liye hai

sarmāya-e-rāhat hai fanā mujhe talḳhī

is zahr meñ sāmān-e-baqā mere liye hai

jannat havas ho to maiñ kāfir ki pareshāñ

us shoḳh ḳhushbu-e-qabā mere liye hai

pahle bhī kuchh ummīd na thī chāragaroñ ko

aur ab to davā hai na duā mere liye hai

mar jā.ūñgā mai-ḳhāne se niklā jo kabhī maiñ

nazzāra-e-mai rūh-fazā mere liye hai

tashḳhīs-e-tabībāñ pe hañsī aatī hai 'hasrat'

ye dard-e-jigar hai ki davā mere liye hai

Top Urdushayar.com