dil-e-nādāñ  mirā  hai  be-taqsīr
zab.h  karte  ho  uus  kuuñ  be-takbīr
naqsh-e-dīvār  sehn-e-gulshan  hai
jis  ne  dekhā  hai  yaar  kī  tasvīr
āshiqoñ  kuuñ  nahīñ  hai  rusvā.ī
mus.haf-e-ishq  kī  hai  ye  tafsīr
gardish-e-chashm-e-yār  bejā  nahīñ
dil  ke  lene  kī  hai  use  tadbīr
bul-havas  kab  talak  rahe  āzād
khol  sayyād  zulf  kī  zanjīr
jāntī  hai  vo  zulf-e-uqda-kushā
mere  āshufta  ḳhvāb  kī  ta.abīr
shab-e-hijrāñ  meñ  ai  'sirāj'  mujhe
ashk  hai  sham.a  aur  palak  gul-gīr