jab  siiñ  dekhā  huuñ  yaar  kī  sūrat
gul  kuuñ  būjhā  huuñ  ḳhaar  kī  sūrat
kyuuñ  na  hue  qatl  dam-ba-dam  āshiq
haiñ  bhaveñ  zul-fiqār  kī  sūrat
mujh  kuuñ  ā.īna-e-tasavvur  hai
dilbar-e-gul-ezār  kī  sūrat
dil  ne  mere  kiyā  hai  tauq-e-gulū
zulf-e-gul-rū  hai  haar  kī  sūrat
nā-umīdī  meñ  jalva-e-dīdār
hai  ḳhizāñ  meñ  bahār  kī  sūrat
safha-e-dil  pe  sīna-chākoñ  ke
naqsh  hai  us  nigār  kī  sūrat
kāġhaz-e-abr  par  likhā  hai  'sirāj'
dīda-e-ashk-bār  kī  sūrat