dil  kī  sūrat  tire  siine  meñ  dhaḌaktā  huuñ  maiñ
haañ  ba-zāhir  tire  hāthoñ  kā  khilaunā  huuñ  maiñ
ab  jahāñ  chāñd  lab-e-bām  ubhartā  hī  nahīñ
jaane  kyuuñ  phir  unhīñ  galiyoñ  se  guzartā  huuñ  maiñ
kitnā  nādān  thā  maiñ  Duub  gayā  jal  bhī  gayā
vo  bahut  kahtā  rahā  aag  kā  dariyā  huuñ  maiñ
aarzū  thī  ki  gulāboñ  ke  diloñ  meñ  rahtā
ye  sazā  paa.ī  ki  kāñToñ  kā  bichhaunā  huuñ  maiñ
mere  paas  aa  ke  koī  tishna-labī  bhuul  gayā
maiñ  to  samjhā  thā  ki  taptā  huā  sahrā  huuñ  maiñ