yaar  ko  be-hijāb  dekhā  huuñ
maiñ  samajhtā  huuñ  ḳhvāb  dekhā  huuñ
ye  ajab  hai  ki  din  kuuñ  tārīkī
raat  kuuñ  āftāb  dekhā  huuñ
nusḳha-e-husn  meñ  tire  qad  kuuñ
misra-e-intiḳhāb  dekhā  huuñ
kis  satī  ab  ummīd-e-lutf  rakhūñ
tujh  nigah  siiñ  itaab  dekhā  huuñ
ab  huā  sab  siiñ  fāriġh-ut-tahsīl
be-ḳhudī  kī  kitāb  dekhā  huuñ
lashkar-e-ishq  jab  siiñ  aayā  hai
mulk-e-dil  kuuñ  ḳharāb  dekhā  huuñ
majlis-e-chashm-e-mast  saaqī  meñ
daur-e-jām-e-sharāb  dekhā  huuñ
ai  'sirāj'  ātish-e-mohabbat  meñ
dil  kuuñ  apne  kabāb  dekhā  huuñ