aaj  rusvā  haiñ  to  ham  kūcha-o-bāzār  bahut
yā  kabhī  giit  bhī  gaate  the  sar-e-dār  bahut
apne  hālāt  ko  suljhāo  to  kuchh  baat  bane
mil  bhī  jā.eñge  kabhī  gesū-e-ḳhamdār  bahut
dil  ke  zaḳhmoñ  ko  bhī  mumkin  ho  to  dekho  varna
chāñd  se  chehre  bahut  phuul  se  ruḳhsār  bahut
aaj  māhaul  meñ  fitne  haiñ  sar-e-dair-o-haram
aaj  behtar  hai  parastish  ko  dar-e-yār  bahut
luT  ga.e  ek  hī  añgḌā.ī  meñ  aisā  bhī  huā
umr-bhar  phirte  rahe  ban  ke  jo  hoshiyār  bahut
ajnabī  ban  ke  rahe  shahr  meñ  ham  hālāñki
sāya-e-zulf  bahut  sāya-e-dīvār  bahut
'qais'  nā-qadrī-e-ahbāb  kā  shikva  hai  fuzūl
koī  yūsuf  hī  nahīñ  varna  ḳharīdār  bahut