vo  log  jin  ko  hayāt  apnī  ġhamoñ  meñ  Duubī  huī  milegī
agar  mire  saath  saath  aa.eñ  to  ik  na.ī  zindagī  milegī
unhīñ  ko  haañ  bas  unhīñ  ko  ai  'qais'  manzil-e-zindagī  malegī
musībatoñ  ke  hujūm  meñ  bhī  laboñ  pe  jin  ke  hañsī  malegī
qafas  kī  tārīk  ḳhalvatoñ  par  haiñ  mo'tariz  kyuuñ  ye  ahl-e-duniyā
chaman  meñ  bhī  āshiyāñ  jaleñge  to  phir  kahīñ  raushnī  milegī
maiñ  terī  āñkhoñ  ke  āsare  par  hī  mai-kade  se  uThā  thā  lekin
ye  kyā  ḳhabar  thī  ki  terī  āñkhoñ  se  aur  bhī  tishnagī  milegī
agar  ujāloñ  kī  hai  tamannā  na  bujhne  paa.e  charāġh  dil  kā
ki  dil  meñ  jab  raushnī  na  hogī  to  har  taraf  tīrgī  milegī
qasam  hai  tum  ko  mire  muqaddar  kī  yuuñ  savāro  na  apnī  zulfeñ
tumhīñ  agar  uljhaneñ  na  doge  to  phir  kahāñ  zindagī  milegī
ye  log  jo  ḳhanda-zan  haiñ  mujh  par  inheñ  kuchh  is  kī  ḳhabar  nahīñ  hai
ki  merī  rūdād-e-gum-rahī  se  zamāne  ko  rahbarī  milegī