shahr-e-dil  kunj-e-bayābān  nahīñ  thā  pahle
maiñ  kabhī  itnā  pareshān  nahīñ  thā  pahle
baa.eñ  pahlū  meñ  jo  ik  sañg  paḌā  hai  sākit
ye  dhaḌaktā  bhī  thā  be-jān  nahīñ  thā  pahle
shahryāroñ  se  marāsim  the  bahut  hī  gahre
tīra-baḳhtoñ  se  bhī  anjān  nahīñ  thā  pahle
lafz  rūThe  hue  rahte  the  qalam  se  aksar
jin  se  tajdīd  kā  imkān  nahīñ  thā  pahle
jab  safar  kaaT  liyā  hai  to  milā  hai  sab  kuchh
saath  mere  koī  sāmān  nahīñ  thā  pahle
ab  bhī  be-nām  basar  hote  haiñ  auqāt  mire
dil  meñ  tauqīr  kā  armān  nahīñ  thā  pahle
aaj  chādar  ke  barābar  hai  mire  qad  kī  bisāt
maiñ  kisī  shahr  kā  sultān  nahīñ  thā  pahle
khaa.e  baiThā  hai  zamāne  se  ta.alluq  kā  fareb
tū  'alī'  itnā  to  nādān  nahīñ  thā  pahle