na  māh-rū  na  kisī  māhtāb  se  huī  thī
hameñ  to  pahlī  mohabbat  kitāb  se  huī  thī
fareb-e-kul  hai  zamīñ  aur  namūna-e-azdād
ki  ibtidā  hī  gunāh-o-savāb  se  huī  thī
bas  ek  shab  kī  kahānī  nahīñ  ki  bhuul  sakeñ
har  ek  shab  hī  mumāsil  itaab  se  huī  thī
vajūd-e-chashm  thā  Thahre  samundaroñ  kī  misāl
numūd-e-hālat-e-dil  ik  habāb  se  huī  thī
jazā-e-ishq-e-haqīqī  rahī  talab  apnī
ḳhatā-e-ishq-e-majāzī  janāb  se  huī  thī
usī  se  tīra-shabī  meñ  hai  manzaroñ  kā  vajūd
vo  raushnī  jo  mashiyyat  ke  baab  se  huī  thī
vahī  to  jehd-e-musalsal  kī  ibtidā  thī  'alī'
jab  āshnā.ī  qadam  kī  rikāb  se  huī  thī