Ali Muzammil

ye kya ki KHalq ko pura dikhai deta hun

Ali Muzammil

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1966

ye kyā ki ḳhalq ko puurā dikhā.ī detā huuñ

magar maiñ ḳhud ko adhūrā sujhā.ī detā huuñ

ajal ko ke garebān se pakaḌ laa.e

maiñ zindagī ko vahāñ tak rasā.ī detā huuñ

maiñ apne jism ke sab munqasim havāloñ ko

ba-nām-e-rizq suḳhan kamā.ī detā huuñ

vo zindagī meñ mujhe phir kabhī nahīñ miltā

maiñ apne ḳhvāboñ se jis ko rihā.ī detā huuñ

mujhe sila na satā.ish na adl hai matlūb

maiñ apne sāmne apnī safā.ī detā huuñ

ye shor merā taḳhātub nahīñ sunegā 'alī'

maiñ ḳhāmushī ko mukammal sunā.ī detā huuñ

Top Urdushayar.com