dar-e-shahī  se  dar-e-gadā.ī  pe  aa  gayā  huuñ
maiñ  narm  bistar  se  chārpā.ī  pe  aa  gayā  huuñ
badan  kī  saarī  tamāzateñ  maañd  paḌ  rahī  haiñ
vo  bebasī  hai  ki  pārsā.ī  pe  aa  gayā  huuñ
nahīñ  hai  chehre  kā  haal  paḌhne  kī  ḳhū  kisī  meñ
sukūt  toḌā  hai  lab-kushā.ī  pe  aa  gayā  huuñ
husūl-e-ganj-e-atā-e-ġhaibī  ke  vāste  ab
sifāt-e-rabbī  kī  jubba-sā.ī  pe  aa  gayā  huuñ
utaar  pheñkā  musālahat  kā  libās  maiñ  ne
sukūt  toḌā  hai  lab-kushā.ī  pe  aa  gayā  huuñ
futūr  mujh  meñ  nahīñ  hai  koī  sabab  to  hogā
duā.eñ  detā  huā  duhā.ī  pe  aa  gayā  huuñ
'alī'  meñ  sabze  ko  rauñdne  kī  sazā  ke  baa.is
barahna-sar  se  barahna-pā.ī  pe  aa  gayā  huuñ