ḳhasāra-dar-ḳhasāra  kar  liyā  jaa.e
junūñ  ko  isti.āra  kar  liyā  jaa.e
ye  nuqta  bhī  qarīn-e-maslahat  hai
adāvat  ko  gavāra  kar  liyā  jaa.e
darūn-e-dil  yam-e-afsurdagī  hai
koī  tinkā  sahārā  kar  liyā  jaa.e
suḳhan-hā.e  barā-e-guftanī  se
ġhazal  ko  shāh-pāra  kar  liyā  jaa.e
sar-e-āb-e-ravāñ  sahrā  bichhā  kar
sarāboñ  se  kināra  kar  liyā  jaa.e
ziyā  āñkhoñ  kī  putlī  meñ  samo  kar
añdhere  kā  nazāra  kar  liyā  jaa.e
bhalā  kyā  khel  hai  kār-e-mohabbat
jo  dānista  dobāra  kar  liyā  jaa.e
ye  dil  meñ  hai  ki  saare  ashk  pī  kar
badan  ko  miTTī  gaarā  kar  kiyā  jaa.e
basānī  hai  koī  bastī  ki  sahrā
'alī'  ab  istiḳhāra  kar  liyā  jaa.e