merī  imlāk  samajh  be-sar-o-sāmānī  ko
ek  muddat  se  maiñ  lāhaq  huuñ  pareshānī  ko
ab  ye  ma.amūl  ke  ġham  mujh  ko  rulāne  se  rahe
sānehe  chāhiyeñ  ashkoñ  kī  farāvānī  ko
lauT  aa.egī  jo  aflāk  se  fariyād  mirī
kaun  baḳhshegā  sanad  merī  sanā-ḳhvānī  ko
pesh-e-manzar  bhī  vahī  thā  jo  pas-e-zāt  rahā
ġham  kī  mīrās  milī  aañkh  kī  hairānī  ko
siina  sad-chāk  karo  dil  se  na  aġhrāz  karo
qaid  rahne  do  abhī  dasht  meñ  zindānī  ko
maut  bhī  dekh  ke  añgusht-ba-dandāñ  hai  'alī'
marqad-e-zīst  se  lipTī  huī  vīrānī  ko