dekhā  hai  jis  ne  yaar  ke  ruḳhsār  kī  taraf
hargiz  na  jaave  sair  kuuñ  gulzār  kī  taraf
ā.īna-dil  kī  chashm  meñ  nuur  jamāl  dost
raushan  huā  hai  har  dar-o-dīvār  kī  taraf
manzūr  hai  salāmatī-e-ḳhūñ  agar  tujhe
mat  dekh  us  kī  nargis-e-bīmār  kī  taraf
vahāñ  nahīñ  baġhair  jauhar-e-shamshīr  ḳhūñ-bahā
zāhid  na  jā  vo  zālim-e-ḳhuñḳhār  kī  taraf
hai  dil  kuuñ  azm-e-chauk  umīd-e-visāl  par
dīvāna  kā  ḳhayāl  hai  bāzār  kī  taraf
kyā  pūchhte  ho  tum  ki  tirā  dil  kidhar  gayā
dil  kā  makāñ  kahāñ?  yahī  dildār  kī  taraf
parvāna  kuuñ  nahīñ  hai  magar  ḳhauf-e-jāñ  'sirāj'
nāhaq  chalā  hai  shola-e-dīdār  kī  taraf