ġham  ne  bāñdhā  hai  mire  jī  pe  khalā  haa.e  khalā
phir  na.e  sir  setī  aa.ī  hai  balā  haa.e  balā
ai  gul-e-gulshan-e-jāñ  kar  mujhe  yak-bār  nihāl
ḳhaar  hasrat  kā  kaleje  meñ  salā  haa.e  salā
dekh  saktā  nahīñ  maiñ  gul  kuuñ  har  yak  ḳhaar  ke  saath
apne  ham-rāh  raqīboñ  kuuñ  na  lā  haa.e  na  lā
zab.h  karne  meñ  mire  rahm  na  laayā  us  ne
balki  itnā  bhī  kahā  neñ  ki  galā  haa.e  galā
jis  ne  khāyā  hai  tere  abrū-e-ḳhūñ-rez  kā  zaḳhm
murġh-e-bismil  sā  lahū  biich  ralā  haa.e  ralā
jān-e-jānāñ  kuuñ  mire  paas  shitābī  laao
niiñ  to  yak  pal  meñ  mirā  jaan  chalā  haa.e  chalā
be-tarah  ab  to  birah  aag  dahaktī  hai  'sirāj'
dil  mirā  kyuuñ  na  pukāre  ki  jalā  haa.e  jalā