tujh  zulf  kī  shikan  hai  mānind-e-dām  goyā
yā  sub.h  par  hamārī  aa.ī  hai  shaam  goyā
haiñ  saad  us  kī  āñkheñ  aur  qad  alif  ke  mānind
abrū  hai  nūn-e-nādir  gesū  hai  laam  goyā
masjid  meñ  tujh  bhavoñ  kī  ai  qibla-e-dil-o-jāñ
palkeñ  haiñ  muqtadī  aur  putlī  imaam  goyā
rañgīñ  bahār-e-jannat  dozaḳh  hai  mujh  ko  us  bin
dozaḳh  hai  us  ke  hote  darussalām  goyā
Tuk  māh-e-nau  kī  jānib  ai  māh-rū  nazar  kar
ḳham  ho  tirī  bhavoñ  kuuñ  kartā  salām  goyā
gul-rū  ke  qad  muqābil  ho  bā-adab  khaḌā  hai
shamshād  hai  chaman  meñ  us  kā  ġhulām  goyā
sher-e-'sirāj'  az-bas  aalam  meñ  haiñ  zabāñzad
dīvān  kī  zamīñ  hai  dīvān-e-ām  goyā