fasl-e-gul  kā  ġham  dil-e-nāshād  par  baaqī  rahā
hashr  lag  ye  muzlima  sayyād  par  baaqī  rahā
khol  kar  zulfoñ  kuuñ  aayā  sarv-qad  jab  baaġh  meñ
naqsh-e-hairat  turra-e-shamshād  par  baaqī  rahā
jal  gayā  parvāna  pan  mujh  sā  samundar-ḳhū  nahīñ
ye  suḳhan  shāgird  kā  ustād  par  baaqī  rahā
āshiqī  meñ  kab  ravā  hai  is  tarah  kī  zālimī
ḳhūn-e-shīrīñ  gardan-e-farhād  par  baaqī  rahā
rah  ga.e  zauq-e-tabassum  meñ  taġhāful  ke  shahīd
bismiloñ  kā  ḳhūñ-bahā  jallād  par  baaqī  rahā
ulfat-e-lailā  ne  majnūñ  kā  miTāyā  sab  nishāñ
naam  us  kā  safha-e-ījād  par  baaqī  rahā
khol  chashm-e-lutf  de  jāgīr  maqsūd-e-'sirāj'
sham.a-rū  parvāna-dil  sayyād  par  baaqī  rahā