saañs  ke  ham-rāh  sho.ale  kī  lapak  aane  ko  hai
aisā  lagtā  hai  koī  raushan  mahak  aane  ko  hai
phir  pas-e-paspā.ī  merā  hausla  zinda  huā
āsmāñ  se  phir  koī  taaza  kumak  aane  ko  hai
ek  ḳhilqat  hī  nahīñ  hai  bad-gumānī  kā  shikār
us  kī  jānib  se  mire  bhī  dil  meñ  shak  aane  ko  hai
ek  muddat  se  charāġh-e-sard  sā  rakkhā  huuñ  maiñ
is  tavaqqo.a  par  ki  āñchal  kī  bhaḌak  aane  ko  hai
ai  safar  kī  rā.egānī  āyatoñ  ke  saath  chal
phir  vahī  jañgal  vahī  suunī  saḌak  aane  ko  hai
bed-e-majnūñ  ho  rahe  haiñ  tiir  kyā  talvār  kyā
mere  dushman  meñ  bhī  ab  shāyad  lachak  aane  ko  hai
ab  to  is  chhat  par  koī  māh-e-shabāna  chāhiye
sāya-e-qāmat  fasīl-e-shām  tak  aane  ko  hai
rāste  gum  ho  rahe  haiñ  dhund  kī  pahnā.ī  meñ
sardiyoñ  kī  shaam  hai  phir  us  kā  chak  aane  ko  hai