ye  ham  jo  hijr  meñ  us  kā  ḳhayāl  bāñdhte  haiñ
havā  kī  shāḳh  se  bū-e-visāl  bāñdhte  haiñ
hamāre  bas  meñ  kahāñ  ziist  ko  suḳhan  karnā
ye  qāfiya  faqat  ahl-e-kamāl  bāñdhte  haiñ
ye  ahd-e-jeb-tarāshāñ  ko  ab  huā  ma.alūm
yahāñ  ke  log  girah  meñ  savāl  bāñdhte  haiñ
vo  ḳhuub  jānte  haiñ  ham-duā  nihādoñ  ko
hamāre  haath  ba-vaqt-e-zavāl  bāñdhte  haiñ
sabhī  ko  shauq-e-asīrī  hai  apnī  apnī  jagah
vo  ham  ko  aur  ham  un  kā  ḳhayāl  bāñdhte  haiñ
tumheñ  pata  ho  ki  ham  sāhiloñ  ke  parvarda
mohabbatoñ  meñ  bhī  mazbūt  jaal  bāñdhte  haiñ
phir  us  ke  ba.ad  kahīñ  bhī  vo  jā  nahīñ  saktā
jise  bhī  bāñdhte  haiñ  ham  kamāl  bāñdhte  haiñ