kunj-e-ġhazal  na  qais  kā  vīrāna  chāhiye
jo  ġham  mujhe  hai  us  ko  azā-ḳhāna  chāhiye
hai  jis  kā  intizār  palak  se  falak  talak
ab  aanā  chāhiye  use  aa  jaanā  chāhiye
yā-rab  mire  libās  se  hargiz  gumāñ  na  ho
lekin  mujhe  mizāj-e-faqīrāna  chāhiye
miltī  nahīñ  hai  naav  to  darvesh  kī  tarah
ḳhud  meñ  utar  ke  paar  utar  jaanā  chāhiye
ai  dost!  mujh  se  ishq  kī  yaksāniyat  na  pūchh
tū  bhī  kabhī  kabhī  mujhe  begāna  chāhiye