zālim  mire  jigar  kuuñ  kare  kyuuñ  na  phāñk  phāñk
sīkhā  hai  vo  nigah  kā  paTā  aur  adā  kā  baañk
pothī  ḳhayāl-e-yār  kī  aa.ī  hai  jab  siiñ  haat
dil  ke  varaq  pe  tab  setī  likhtā  huuñ  ġham  kī  aañk
añgushtarī  kuuñ  dil  kī  banāyā  huuñ  nazr-e-yār
laḳht-e-jigar  ke  la.al  kuuñ  ulfat  kā  dekh  daañk
aatā  hai  yaad  phuul  ke  dekhe  siiñ  gul-badan
āshiq  kā  chhīltī  hai  jigar  bulbuloñ  kī  haañk
jān-e-jahāñ  kā  zauq  agar  hai  tujhe  'sirāj'
pinhāñ  nigāh-e-ġhair  siiñ  parde  meñ  dil  ke  jhāñk