shajar  samajh  ke  mirā  ehtirām  karte  haiñ
parinde  raat  ko  mujh  meñ  qayām  karte  haiñ
suno  tum  āḳhir-e-shab  guftugū  daraḳhtoñ  kī
ye  kam-kalām  bhī  kyā  kyā  kalām  karte  haiñ
kahāñ  kī  zindagī  ham  ko  to  sharm  maar  ga.ī
ki  terī  chiiz  hai  aur  tere  naam  karte  haiñ
hameñ  to  is  liye  jā-e-namāz  chāhiye  hai
ki  ham  vajūd  se  bāhar  qayām  karte  haiñ
agar  kabhī  mujhe  maujūdgāñ  se  fursat  ho
to  raftagāñ  mirī  nīndeñ  harām  karte  haiñ
lahū  ke  ghūñT  na  piitā  to  aur  kyā  kartā
vo  kah  rahe  the  tirā  intizām  karte  haiñ
hameñ  samā.at-e-be-lafz  kī  ijāzat  hai
hamāre  saath  parinde  kalām  karte  haiñ
abhī  to  ghar  meñ  na  baiTheñ  kaho  buzurgoñ  se
abhī  to  shahr  ke  bachche  salām  karte  haiñ