ye  ham  ko  kaun  sī  duniyā  kī  dhun  āvāra  rakhtī  hai
ki  ḳhud  sābit-qadam  rah  kar  hameñ  sayyāra  rakhtī  hai
agar  bujhne  lageñ  ham  to  havā-e-shām-e-tanhā.ī
kisī  mehrāb  meñ  jā  kar  hameñ  dobāra  rakhtī  hai
chalo  ham  dhuup  jaise  log  hī  us  ko  nikāl  aa.eñ
sunā  hai  vo  nadī  tah  meñ  koī  mah-pāra  rakhtī  hai
hameñ  kis  kaam  par  māmūr  kartī  hai  ye  duniyā  bhī
ki  tarsīl-e-ġham-e-dil  ke  liye  harkāra  rakhtī  hai
kabhī  sar  phoḌne  detī  nahīñ  dīvār  se  'tābish'
ye  kyā  dīvāngī  hai  jo  hameñ  nākāra  rakhtī  hai