shāḳh  par  phuul  falak  par  koī  taarā  bhī  nahīñ
maiñ  bhī  tanhā  huuñ  bahut  koī  tumhārā  bhī  nahīñ
ek  to  muḌ  ke  na  jaane  kī  aziyyat  thī  bahut
aur  us  par  ye  sitam  koī  pukārā  bhī  nahīñ
kah  rahā  thā  ki  mohabbat  meñ  takallum  kaisā
maiñ  jo  chauñkā  to  kahāñ  izn-e-ishārā  bhī  nahīñ
umr-e-mā-ba.ad  agar  tere  alāva  kuchh  hai
phir  to  maiñ  ab  bhī  nahīñ  aur  dobārā  bhī  nahīñ