dasht  meñ  pyaas  bujhāte  hue  mar  jaate  haiñ
ham  parinde  kahīñ  jaate  hue  mar  jaate  haiñ
ham  haiñ  sūkhe  hue  tālāb  pe  baiThe  hue  hañs
jo  ta.alluq  ko  nibhāte  hue  mar  jaate  haiñ
ghar  pahuñchtā  hai  koī  aur  hamāre  jaisā
ham  tire  shahr  se  jaate  hue  mar  jaate  haiñ
kis  tarah  log  chale  jaate  haiñ  uTh  kar  chup-chāp
ham  to  ye  dhyān  meñ  laate  hue  mar  jaate  haiñ
un  ke  bhī  qatl  kā  ilzām  hamāre  sar  hai
jo  hameñ  zahr  pilāte  hue  mar  jaate  haiñ
ye  mohabbat  kī  kahānī  nahīñ  martī  lekin
log  kirdār  nibhāte  hue  mar  jaate  haiñ
ham  haiñ  vo  TuuTī  huī  kashtiyoñ  vaale  'tābish'
jo  kināroñ  ko  milāte  hue  mar  jaate  haiñ