pas-e-ġhubār  madad  māñgte  haiñ  paanī  se
ye  log  tañg  haiñ  miTTī  kī  hukmarānī  se
ye  haath  suukh  ke  jhaḌne  ko  ho  ga.e  lekin
maiñ  dast-kash  na  huā  terī  mehrbānī  se
phir  us  ke  ba.ad  phaloñ  meñ  miThās  aa.ī  nahīñ
shajar  ne  kaam  liyā  thā  ġhalat-bayānī  se
kisī  jazīre  pe  shāyad  khulā  ye  baaġh  koī
mahak  gulāb  kī  aatī  hai  bahte  paanī  se
maiñ  tere  vasl  kā  lamha  bachā  sakūñ  shāyad
mirā  ta.alluq-e-ḳhātir  hai  rā.egānī  se
navāh-e-shahr  meñ  phailī  hai  maut  kī  ḳhushbū
magar  ye  log  ki  lagte  haiñ  jāvedānī  se
tire  visāl  ke  mausam  meñ  ustuvār  huā
koī  ajab  sā  ta.alluq  jahān-e-fānī  se
tū  mil  gayā  hai  to  achchhā  huā  vagarna  dost
kise  ġharaz  thī  mohabbat  meñ  kāmrānī  se
pahuñch  chuke  haiñ  mohabbat  meñ  us  jagah  ham  log
jahāñ  yaqīñ  nahīñ  aatā  yaqīñ-dahānī  se