makāñ-bhar  ham  ko  vīrānī  bahut  hai
magar  ye  dil  ki  sailānī  bahut  hai
hamāre  paañv  ulTe  haiñ  so  ham  ko
palaT  jaane  meñ  āsānī  bahut  hai
sitāre  chor  āñkhoñ  se  na  dekheñ
zamīñ  par  merī  nigarānī  bahut  hai
abhī  sūkhī  nahīñ  miTTī  kī  āñkheñ
abhī  dariyāoñ  meñ  paanī  bahut  hai
ajab  sī  shart  hai  ye  zindagī  bhī
jo  manvā.ī  hai  kam  maanī  bahut  hai
zarūrat  hī  nahīñ  dushman  kī  'tābish'
mujhe  merī  tan-āsānī  bahut  hai