shikasta-ḳhvāb-o-shikasta-pā  huuñ  mujhe  duāoñ  meñ  yaad  rakhnā
maiñ  āḳhirī  jañg  laḌ  rahā  huuñ  mujhe  duāoñ  meñ  yaad  rakhnā
havā.eñ  paiġhām  de  ga.ī  haiñ  ki  mujh  ko  dariyā  bulā  rahā  hai
maiñ  baat  saarī  samajh  gayā  huuñ  mujhe  duāoñ  meñ  yaad  rakhnā
na  jaane  kuufe  ko  kyā  ḳhabar  ho  na  jaane  kis  dasht  meñ  basar  ho
maiñ  phir  madīne  se  jā  rahā  huuñ  mujhe  duāoñ  meñ  yaad  rakhnā
mujhe  azīzān-e-man  mohabbat  kā  koī  bhī  tajraba  nahīñ  hai
maiñ  is  safar  meñ  nayā  nayā  huuñ  mujhe  duāoñ  meñ  yaad  rakhnā
mujhe  kis  se  bhalā.ī  kī  ab  koī  tavaqqo.a  nahīñ  hai  'tābish'
maiñ  ādatan  sab  se  kah  rahā  huuñ  mujhe  duāoñ  meñ  yaad  rakhnā