jab  señ  tujh  ishq  kī  garmī  kā  asar  hai  man  meñ
tab  señ  phirtā  huuñ  udāsī  ho  birah  ke  ban  meñ
aaj  kī  raat  mirā  chāñd  nazar  aayā  hai
chāñdnī  duud  sī  chhiTkī  hai  mire  āñgan  meñ
us  kī  sābit-qadamī  par  satī  qurbān  huuñ  meñ
khet  chhoḌā  nahīñ  mujh  dil  ne  parat  ke  ran  meñ
qatra-e-ashk  mirā  dāna-e-tasbīh  huā
raat  din  mujh  kuuñ  guzartā  hai  tirī  sumran  meñ
jab  señ  dastār  rañgāyā  hai  sanam  abbāsī
gul-e-abbās  kuuñ  niiñ  rañg  rahā  gulshan  meñ
sair-e-dariyā  señ  nahīñ  ham  kuuñ  tasallī  mumkin
ġham  ke  tūfān  ubalte  haiñ  hamāre  man  meñ
kyuuñ  na  ho.e  dil-e-yāqūt-labāñ  mom  'sirāj'
kaam  kartā  hai  mirī  aah  kā  hiirā  khan  meñ