maiñ  apne  ishq  ko  ḳhush-e-ehtimām  kartā  huā
maqām-e-shukr  pe  pahuñchā  kalām  kartā  huā
ye  gard-bād  salāmat  guzarnā  chāhtā  hai
mire  charāġh  pe  vahshat  tamām  kartā  huā
guzar  rahā  huuñ  kisī  qariya-e-malāmat  se
qadīm  silsila-dārī  ko  aam  kartā  huā
to  phir  ye  kaun  hai  nisfunnahār  ke  hañgām
qayām  o  raqs  kī  hālat  meñ  shaam  kartā  huā
kabhī  to  khul  ke  batā  ai  mirī  riyāzat-e-marg
maiñ  kaisā  lagtā  huuñ  fikr-e-davām  kartā  huā
zamānoñ  ba.ad  bhī  dasht-e-balā  meñ  merā  'husain'
dikhā.ī  detā  hai  hujjat  tamām  kartā  huā