paanī  aañkh  meñ  bhar  kar  laayā  jā  saktā  hai
ab  bhī  jaltā  shahr  bachāyā  jā  saktā  hai
ek  mohabbat  aur  vo  bhī  nākām  mohabbat
lekin  is  se  kaam  chalāyā  jā  saktā  hai
dil  par  paanī  piine  aatī  haiñ  ummīdeñ
is  chashme  meñ  zahr  milāyā  jā  saktā  hai
mujh  gumnām  se  pūchhte  haiñ  farhād  o  majnūñ
ishq  meñ  kitnā  naam  kamāyā  jā  saktā  hai
ye  mahtāb  ye  raat  kī  peshānī  kā  ghaav
aisā  zaḳhm  to  dil  par  khāyā  jā  saktā  hai
phaTā-purānā  ḳhvāb  hai  merā  phir  bhī  'tābish'
is  meñ  apnā-āp  chhupāyā  jā  saktā  hai