itnā  āsāñ  nahīñ  masnad  pe  biThāyā  gayā  maiñ
shahr-e-tohmat  tirī  galiyoñ  meñ  phirāyā  gayā  maiñ
mere  hone  se  yahāñ  aa.ī  hai  paanī  kī  bahār
shāḳh-e-girya  thā  sar-e-dasht  lagāyā  gayā  maiñ
ye  to  ab  ishq  meñ  jī  lagne  lagā  hai  kuchh  kuchh
is  taraf  pahle-pahal  gher  ke  laayā  gayā  maiñ
ḳhuub  itnā  thā  ki  dīvār  pakaḌ  kar  niklā
us  se  milne  ke  liye  sūrat-e-sāya  gayā  maiñ
tujh  se  kuchh  kahne  kī  himmat  hī  nahīñ  thī  varna
ek  muddat  tirī  dahlīz  tak  aayā  gayā  maiñ
ḳhalvat-e-ḳhās  meñ  bulvāne  se  pahle  'tābish'
aam  logoñ  meñ  bahut  der  biThāyā  gayā  maiñ