Duub  kar  bhī  na  paḌā  farq  girāñ-jānī  meñ
maiñ  huuñ  patthar  kī  tarah  bahte  hue  paanī  meñ
ye  mohabbat  to  bahut  ba.ad  kā  qissa  hai  miyāñ
maiñ  ne  us  haath  ko  pakḌā  thā  pareshānī  meñ
raftagāñ  tum  ne  abas  Dhoñg  rachāyā  varna
ishq  ko  daḳhl  nahīñ  maut  kī  arzānī  meñ
ye  mohabbat  bhī  vilāyat  kī  tarah  rakhtī  hai
hālat-e-hāl  meñ  ye  hālat-e-hairānī  meñ
is  liye  jal  ke  kabhī  raakh  nahīñ  hotā  dil
ye  kabhī  aag  meñ  hotā  hai  kabhī  paanī  meñ
ik  mohabbat  hī  pe  mauqūf  nahīñ  hai  'tābish'
kuchh  baḌe  faisle  ho  jaate  haiñ  nādānī  meñ