ye  dekh  mire  naqsh-e-kaf-e-pā  mire  aage
aage  bhī  kahāñ  jaatā  hai  rasta  mire  aage
ai  tishna-labī  tū  ne  kahāñ  lā  ke  Duboyā
is  baar  to  dariyā  bhī  nahīñ  thā  mire  aage
aise  nahīñ  mānūñgā  maiñ  hastī  kā  tavāzun
taqtī.a  kiyā  jaa.e  ye  misra  mire  aage
ai  qāmat-e-dil-dār-e-guzisthā  kī  muāfī
pahle  koī  me.aar  nahīñ  thā  mire  aage
kyūñkar  suḳhan  āġhāz  kiyā  jaa.e  ki  vo  aañkh
lā  rakhtī  hai  ajdād  kā  likkhā  mire  aage
hairat  hai  ki  detī  haiñ  mujhe  ta.ana-e-vahshat
tartīb  se  rakkhī  huī  ashyā  mire  aage
maiñ  jāntā  huuñ  us  ke  sabhī  bhed  sabhī  bhaav
duniyā  ne  kabhī  raqs  kiyā  thā  mire  aage
maiñ  ishq  ke  ādāb  zarā  siikh  luuñ  pahle
baiThegī  adab  se  yahī  duniyā  mire  aage