mire  badan  meñ  lahū  kā  kaTāv  aisā  thā
ki  merā  har-bun-e-mū  ek  ghaav  aisā  thā
bichhaḌte  vaqt  ajab  uljhanoñ  meñ  Daal  gayā
vo  ek  shaḳhs  ki  sīdhe  subhāv  aisā  thā
chalī  jo  baat  koī  raat  ke  ta.āqub  meñ
to  baat  baat  se  niklī  bahāv  aisā  thā
maiñ  puurā  puurā  ravāna  thā  abjadoñ  kī  taraf
hisāb-e-umr  tirā  chal-chalāv  aisā  thā
gul-e-nashāt  kī  ḳhushbū  bhī  baar  thī  mujh  ko
mire  mizāj  meñ  ġham  kā  rachāv  aisā  thā
kanār-e-lab  meñ  na  rahtī  thī  mauj-e-goyā.ī
tabī.atoñ  meñ  suḳhan  kā  bahāv  aisā  thā
Thahartā  kyā  mirī  ḳhākistarī  nigāhoñ  meñ
tirā  vajūd  to  raushan  alaav  aisā  thā
nikal  sakī  na  koī  bhī  farār  kī  sūrat
sipāh-e-zīst  kā  mujh  par  paḌāv  aisā  thā
na  chaah  kar  bhī  use  dil  se  chāhte  the  ham
kisī  kī  laag  meñ  'tābish'  lagāv  aisā  thā