har-chand  tirī  yaad  junūñ-ḳhez  bahut  hai
maiñ  jaag  rahā  huuñ  ki  havā  tez  bahut  hai
kyuuñ  kar  na  mire  tan  se  chhalak  jaa.e  ḳhamoshī
paimāna-e-jāñ  zabt  se  labrez  bahut  hai
kyā  koh-e-girāñ  Thahre  tirī  rāhguzar  meñ
ai  husn  tirī  ek  hī  mahmez  bahut  hai
ik  chāñd  kī  kashtī  hī  nahīñ  Dūbne  vaalī
varna  vo  samundar  to  balā-ḳhez  bahut  hai
gul-dān  se  lagte  hī  bikhar  jaatī  hai  titlī
goyā  ye  rag-e-sañg  bhī  ḳhūñ-rez  bahut  hai
palkoñ  pe  koī  phuul  nahīñ  hai  to  ajab  kyā
kahne  ko  to  miTTī  mirī  zarḳhez  bahut  hai
tum  ḳhud  sā  samajh  kar  na  ise  haath  lagānā
vo  ḳhaak  kā  putlā  hī  sahī  tez  bahut  hai
dharnā  hai  kahīñ  to  ye  girāñ-bārī-e-ḳhātir
zaanū  jo  nahīñ  sar  ke  liye  mez  bahut  hai
kyā  hai  jo  kaTore  ke  bhī  pairāk  nahīñ  ham
jiine  ko  to  ye  hīla-e-tabrez  bahut  hai
'tābish'  jo  guzartī  hī  nahīñ  shaam  kī  had  se
socheñ  to  vahīñ  raat  sahar-ḳhez  bahut  hai